Blog

40 Rabbana Duayein

Magdum Syed

Dua Allah ke saath raabtha qayam karne aur barkat haasil karne ke liye aur uski rughbath haasil karne ke liye aasaan tareen zariya hai.

Dua 1:

رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ العَلِيمُ

Surah Al Baqarah (2:127)

Rabbana taqabbal minna innaka antas Sameeaul Aleem

Ae Rab! Hum se ( is khidmat ko ) qubool kar, Kyunki Tu hi sunne-wala, jaanne wala hai

Dua 2:

رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ وَمِن ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُّسْلِمَةً لَّكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبْ عَلَيْنَآ إِنَّكَ أَنتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ

Surah Al-Baqarah (2:128)

Rabbana wa-j’alna Muslimaini laka wa min Dhurriyatinaa ‘Ummatan Muslimatan laka wa ‘Arina Manasikana wa tub ‘alayna ‘innaka ‘antat-Tawwabu-Raheem

Ae Rab! Hum dono ko muslim/farmabardaar(Matee farmaan) bana, hamari nasal se ek aise qaum uttha jo teri muslim/farmabardaar ho, Hamein apni ibaadath ke tareeqe batha aur hum par raham farma.Tu badaa maaf karne wala aur raham farmane wala hai.

Dua 3:

رَبَّنَآ اٰتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَّفِي الْاٰخِرَةِ حَسَـنَةً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ

Surah Al-Baqarah (2:201)

Rabbanaaa Aatinaa Fiddunyaa H’asanata Wa Fil Aakhirati H’asanata Wa Qinaa A’d’aaban Naar

Ae Rab! Hame duniya main bhi nemath atha farma aur aakhirath main bhi nemath atha farma aur hame dozaq ke azaab se bacha

Dua 4:

رَبَّنَا أَفْرِغْ عَلَيْنَا صَبْراً وَثَبِّتْ أَقْدَامَنَا وَانصُرْنَا عَلَى القَوْمِ الكَافِرِينَ

Surah Al-Baqarah (2:250)

Rabbana afrigh ‘alayna sabran wa thabbit aqdamana wansurna ‘alal-qawmil-kafirin

Ae Hamare Rab! Hum par sabr ka faizan kar aur hamare qadam jamade aur kafir qaum par hame fath naseeb kar

Dua 5:

رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَآ اِنْ نَّسِيْنَآ اَوْ اَخْطَاْنَا

Surah Al-Baqarah (2:286)

Rabbanaa Laa Too-Akhid’naaa In-Naseenaa Aw Akht’aanaa

Ae Hamare Rab! Hamara Mokhida na karna(Hame naa pakadna) agar hum bhool jayen ya khatha karen

Dua 6:

رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَآ اِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهٗ عَلَي الَّذِيْنَ مِنْ قَبْلِنَا ۚ

Surah Al-Baqarah (2:286)

Rabbanaa wa Laa Tah’mil A’laynaaa Is’ran Kamaa Ha’maltahoo A’lal Lad’eena min Qablinaa

Ae Hamare Rab! Hum par woh bojh naa daal jo Tu ne hum se pehle logon par daala thaa

Dua 7:

رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهٖ ۚ

وَاعْفُ عَنَّا ۪ وَاغْفِرْ لَنَا ۪ وَارْحَمْنَا

اَنْتَ مَوْلٰىنَا فَانْــصُرْنَا عَلَي الْقَوْمِ الْكٰفِرِيْنَ –

Surah Al-Baqarah (2:286)

Rabbanaa wa Laa Tuh’ammilnaa Maa Laa T’aaqata Lanaa Bih

Wa’-Fu A’nnaa Waghfirlanaa Warh’amnaa

Anta Mawlaanaa Fans’urnaa A’lal Qawmil Kaafireen

Ae Hamare Rab! Hum par woh bojh naa daal jise utthane ki hum mein taqat nahin

Aur hame maaf farma de aur hame bakhsh de aur hum par raham farma

Tu hi hamara Moula hai – Kafir qaum ke muqable main hamari madad farma

Dua 8:

رَبَّنَا لَا تُزِغْ قُلُوْبَنَا بَعْدَ اِذْ ھَدَيْتَنَا وَھَبْ لَنَا مِنْ لَّدُنْكَ رَحْمَةً ۚ اِنَّكَ اَنْتَ الْوَھَّابُ

Surah Al-Imran(3:8)

Rabbanaa Laa Tuzigh Quloobanaa Ba’-Da Id’hadaytanaa Wa Hab Lanaa Mil Ladunka Rah’mah Innaka Antal Wahaab

Ae Hamare Rab! Tu Hamari rahnumai karne ke baad hamare dilon ko inhiraf nah karna aur hamein apni rehmat ataa farma, Be shak Tu hi toh ataa karne wala hai

Dua 9:

رَبَّنَا إِنَّكَ جَامِعُ النَّاسِ لِيَوْمٍ لاَّ رَيْبَ فِيهِ إِنَّ اللّهَ لاَ يُخْلِفُ الْمِيعَادَ

Surah Al-Imran(3:9)

Rabbana innaka jami’unnasi li-Yawmil la rayba fi innAllaha la yukhliful mi’aad

Ae Hamare Rab! Hum ne yaqeen kya hai, Tu hamare gunaahon ko bakhsh de aur hamein dozakh ke azaab se bacha

Dua 10:

رَبَّنَآ اِنَّنَآ اٰمَنَّا فَاغْفِرْ لَنَا ذُنُوْبَنَا وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

Surah Al-Imran(3:16)

Rabbana innana amanna faghfir lana dhunuubana wa qinna ‘adhaban-Naar

Ae Hamare Rab! Hum ne yaqeen kya hai, Tu hamare gunaahon ko bakhsh de aur hamein dozakh ke azaab se bacha

Dua 11:

رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلَتْ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَ

Surah Al-Imran(3:53)

Rabbana amanna bima anzalta wattaba ‘nar-Rusula fak-tubna ma’ash-Shahideen

Ae Hamare Rab! Hum is par yaqeen rakhte hain jo to ne nazil kiya hai aur Hum Rasool ki pairwi karte hain, phir hamare naam gawahi dene walon mein likhain

Dua 12:

رَبَّنَا اغْفِرْ لَنَا ذُنُوْبَنَا وَ اِسْرَافَنَا فِيْٓ اَمْرِنَا وَثَبِّتْ اَقْدَامَنَا وَانْصُرْنَا عَلَي الْقَوْمِ الْكٰفِرِيْنَ

Surah Al-Imran(3:147)

Rabbanaghfir lanaa d’unoobanaa wa israafanaa fee amrinaa wa thabbit aqdaamanaa wan s’urnaa a’lal qawmil kaafireen

Ae Hamare Rab! Hamare gunaaho aur hamare khataon ko maaf farma ( –apne farz ko barqarar rakhnay mein ), Apne paon ko mazbooti se qaim kar aur kafir logon par fatah ataa kar

Dua 13:

رَبَّنَا مَا خَلَقْتَ هٰذَا بَاطِلًا ۚ سُبْحٰنَكَ فَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

Surah Al-Imran(3:191)

Rabbana ma khalaqta hadha batila Subhanaka faqina ‘adhaban-Naar

Ae Hamare Rab! Aap ne ( sab ) maqsad ke baghair peda nahi kya, Aap ki shaan hai! ( Aap un sab se badh kar ho jo woh aap ke sath shareek karthe hain ). Humein aag ke azaab se nijaat ataa farma

Dua 14:

رَبَّنَآ اِنَّكَ مَنْ تُدْخِلِ النَّارَ فَقَدْ اَخْزَيْتَهٗ ۭ وَمَا لِلظّٰلِمِيْنَ مِنْ اَنْصَارٍ

Surah Al-Imran(3:192)

Rabbana innaka man tudkhilin nara faqad akhzaytah wa ma liDh-dhalimeena min ansar.

Ae Hamare Rab! Beshak, jisko Tum dozakh mein daakhil karo ge, Beshak Tu ne isko ruswa kiya hai, aur kabhi bhi zalimon ko koi madadgaar nahi miley ga.

Dua 15:

رَبَّنَآ اِنَّنَا سَمِعْنَا مُنَادِيًا يُّنَادِيْ لِلْاِيْمَانِ اَنْ اٰمِنُوْا بِرَبِّكُمْ فَاٰمَنَّا ۚ

Surah Al-Imran(3:192)

Rabbanaa Innanaa Sami’-Naa Munaadiyay Yunaadee Lil-Eemaani An Aaminoo Birabbikum Fa- Aamannaa

Ae Hamare Rab! Beshak, humne ek ( Mohammad SAW) pukarne wale ki aawaz ko yeh kehte hue suna hai ke apne rab par imaan lao, aur hum imaan le aaye hain

Dua 16:

رَبَّنَا فَاغْفِرْ لَنَا ذُنُوْبَنَا وَكَفِّرْ عَنَّا سَيِّاٰتِنَا وَتَوَفَّنَا مَعَ الْاَبْرَارِ

Surah Al-Imran(3:193)

Rabbanaa Faghfir Lanaa D’unoobanaa Wa Kaffir A’nnaaa Sayyi- Aatinaa Wa Tawaffanaa Ma-A’l Abraaar.

Ae Hamare Rab! Hamare gunaahon ko maaf farma aur hum se apne buray kamon ko maaf kar, aur hamein Abrar ( jo Allah ke farmanbardar hain aur is ke ehkamaat ki sakhti se pairwi karte hain ) ke sath neki ki haalat mein mauth ataa farma.

Dua 17:

رَبَّنَا وَاٰتِنَا مَا وَعَدْتَّنَا عَلٰي رُسُلِكَ وَلَا تُخْزِنَا يَوْمَ الْقِيٰمَةِ ۭاِنَّكَ لَا تُخْلِفُ الْمِيْعَادَ.

Surah Al-Imran(3:194)

Rabbanaa Wa Aatinaa Maa Wa-A’ttanaa A’laa Rusulika Wa Laa Tukhzinaa Yawal Qiyaamah Innak Laa Tukhliful Mee’a’ad.

Ae Hamare Rab! Hamein who Ataa farma jiska Tu ne apne Rasoolon ke zariye se waada kiya hai aur Humein qayamat ke din ruswa naa karna. Beshak Tu kabhi wada khalaqi nahi karta

Dua 18:

رَبَّنا أَخرِجنا مِن هٰذِهِ القَريَةِ الظّالِمِ أَهلُها وَاجعَل لَنا مِن لَدُنكَ وَلِيًّا وَاجعَل لَنا مِن لَدُنكَ نَصيرًا

Surah Al-Imran(4:75)

Rabbana akhrijna min hazihi alqaryati alzalimi ahluha waijAAal lana min ladunka waliyyan waijAAal lana min ladunka naseera

Ae Hamare Rab! Hunko iss shahar se jiske rehne wale zalim hain nikal kar kahin aur le jaa aur apni taraf se kisiko hamara madadgaar bana

Dua 19:

رَبَّنَا آمَنَّا فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَ

Surah Al-Imran(5:83)

Rabbana aamana faktubna ma’ ash-shahideen

Ae Hamare Rab! Hum Imaan laaye hain, Tu humein haq ke gawahon mein likh le.

Dua 20:

رَبَّنَا أَنزِلۡ عَلَيۡنَا مَآئِدَةٗ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ تَكُونُ لَنَا عِيدٗا لِّأَوَّلِنَا وَءَاخِرِنَا وَءَايَةٗ مِّنكَۖ وَٱرۡزُقۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّٰزِقِينَ

Surah Al-Ma’ida(5:114)

Rabbana anzil ‘alayna ma’idatam minas-Samai tuknu lana ‘idal li-awwa-lina wa aakhirna wa ayatam-minka war-zuqna wa anta Khayrul-Raziqeen

Ae Hamare Rab! Hamein aasman se ek dastarkhawan ( raastoon ke sath ) bhej, taakay hamaray liye – hum mein se pehle aur aakhri ke liye – ek ahem tehwar aur aap ki taraf se ek nishani ho aur hamare rizaq ka bandobast kar, kyunke Tu behtareen rizaq dene wala hai ( hamari zaroriat ka ) .

Dua 21:

رَبَّنَا ظَلَمۡنَآ أَنفُسَنَا وَإِن لَّمۡ تَغۡفِرۡ لَنَا وَتَرۡحَمۡنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلۡخَٰسِرِينَ

Surah Al-Ma’ida(7:23)

Rabbana zalamna anfusina wa il lam taghfir lana wa tarhamna lana kunan minal-khasireen

Ae Hamare Rab! Hum ne apni jaanon par zulm kiya hai ; Agar Aap hamein maaf nah karen aur hum par apni rehmat nah karen to hum yaqeenan barbaad ho jayen ge

Dua 22:

رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِين

Surah Al-Ma’ida(7:47)

Rabbanaa Laa Taj-a’lnaa Ma – A’l Qawmiz’ Z’aalimeen

Ae Hamare Rab! Hamein un logon ke sath nah rakh jo zalim hain

Dua 23:

رَبَّنَا ٱفۡتَحۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ قَوۡمِنَا بِٱلۡحَقِّ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡفَٰتِحِينَ

Surah Al-Ma’ida(7:89)

Rabbanaf-tah baynana wa bayna qawmina bil haqqi wa anta Khayrul Fatiheen

Ae Hamare Rab! Hamare aur hamare logon ke darmiyan sachaai ke sath faisla kar, kyunki Tu hi behtareen faisla karne wala hai

Dua 24:

رَبَّنَآ أَفۡرِغۡ عَلَيۡنَا صَبۡرٗا وَتَوَفَّنَا مُسۡلِمِينَ

Surah Al-Ma’ida(7:126)

Rabbana afrigh ‘alayna sabraw wa tawaffana Muslimeen

Ae Hamare Rab! Hum par sabr ki barish nazil farma aur hamein ba-hasiat musalman marne de

Dua 25:

رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلۡقَوۡمِ ٱلظَّـٰلِمِينَ وَنَجِّنَا بِرَحۡمَتِكَ مِنَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلۡكَٰفِرِينَ

Surah Al-Ma’ida(10:85-86)

Rabbana laa taj’alna fitnatal lil-qawmidh-Dhalimeen. Wa najjina bi-Rahmatika minal qawmil kafireen

Ae Hamare Rab! Hamein zalim logon ke liye azmaish nah bana aur hamein apni rehmat se kafir logon se bacha

Dua 26:

رَبَّنَآ إِنَّكَ تَعۡلَمُ مَا نُخۡفِي وَمَا نُعۡلِنُۗ وَمَا يَخۡفَىٰ عَلَى ٱللَّهِ مِن شَيۡءٍ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَا فِي ٱلسَّمَآءِ

Surah Al-Ma’ida(14:38)

Rabbana innaka ta’lamu ma nukhfi wa ma nu’lin wa ma yakhfa ‘alal-lahi min shay’in fil-ardi wa la fis-Sama’

Ae Hamare Rab! Be shak Tu jaanta hai ke hum kya chupate hain aur kya zahir karte hain; Allah se kuch bhi posheeda nahi, chahe zameen par ho ya aasman mein

Dua 27:

رَبِّ ٱجۡعَلۡنِي مُقِيمَ ٱلصَّلَوٰةِ ذُرِّيَّتِيۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلۡ دُعَآءِ

Surah Al-Ma’ida(14:40)

Rabbij-A’lnee Muqeemas’ S’alaati Wa Min D’urrriyyatee Rabbanaa Wa Taqabbal Du-A’aa

Ae Hamare Rab! Mujhe namaz qaim karne wala bana de aur (meri aulaad se). Ae Hamare Rab! aur meri dua qubool farma

Dua 28:

رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيَّٰ وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ يَوۡمَ يَقُومُ ٱلۡحِسَابُ

Surah Al-Ma’ida(14:41)

Rabbana-ghfirli wa li waalidayaa wa lilmumineena yauma yaqoomul hisaab

Ae Hamare Rab! Jis din hisaab qayam hoga mujhe aur mere walidain ko aur momneen ko maaf farma

Dua 29:

رَبَّنَآ ءَاتِنَا مِن لَّدُنكَ رَحۡمَةً وَهَيِّئۡ لَنَا مِنۡ أَمۡرِنَا رَشَدًا

Surah Al-Ma’ida(18:10)

Rabbana atina min ladunka rahmatan wahayyi lana min amrina rashadan

Ae Hamare Rab! Hamein apni taraf se reham ataa farma aur hamare liye sahih rahnumai ke liye tayyar kar

Dua 30:

رَبَّنَآ إِنَّنَا نَخَافُ أَن يَفۡرُطَ عَلَيۡنَآ أَوۡ أَن يَطۡغَىٰ

Surah Al-Ma’ida(20:45)

Rabbana innana nakhafu an yafruta alayna aw an yatgha

Ae Hamare Rab! Be shak hum darte hain ke woh hamare khilaaf jaldi kare ga ya woh had se tajawaz karega

Dua 31:

رَبَّنَآ ءَامَنَّا فَٱغۡفِرۡ لَنَا وَٱرۡحَمۡنَا وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰحِمِينَ

Surah Al-Ma’ida(23:109)

Rabbana amanna fa-igh’fir lana wa-ir’hamna wa-anta khayru al-rahimina Rabbi igh’fir wa-ir’ham wa-anta khayru al-rahimina

Ae Hamare Rab! Hum imaan le aaye hain, pas hamein bakhash de aur hum par reham farma, aur Tu sab se behtar reham karne wala hai

Dua 32:

رَبِّ ٱغۡفِرۡ وَٱرۡحَم وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰحِمِينَ

Surah Al-Ma’ida(23:118)

Rabbi igh’fir wa-ir’ham wa-anta khayru al-rahimina

Ae Hamare Rab! Bakhsh de aur reham kar aur to sab se behtar reham karne wala hai

Dua 33:

رَبَّنَا ٱصۡرِفۡ عَنَّا عَذَابَ جَهَنَّمَۖ إِنَّ عَذَابَهَا كَانَ غَرَامًا – إِنَّهَا سَآءَتۡ مُسۡتَقَرّٗا وَمُقَامٗا

Surah Al-Ma’ida(25:65-66)

Rabbana is’rif anna adhaba jahannama inna adhabaha kana gharaman innaha saat mus’taqarran wamuqaman

Ae Hamare Rab! Hum se jahannum ke azaab ko taall de; Be shak is ki saza hamesha qayam rehne wali hai; Be shak, yeh ek basti aur rahaish ke taur par buri hai

Dua 34:

رَبَّنَا هَبۡ لَنَا مِنۡ أَزۡوَٰجِنَا وَذُرِّيَّـٰتِنَا قُرَّةَ أَعۡيُنٖ وَٱجۡعَلۡنَا لِلۡمُتَّقِينَ إِمَامًا

Surah Al-Ma’ida(25:74)

Rabbana hab lana min azwajina wadhurriyyatina qurrata a’yunin wa-ij’alna lil’muttaqina imaman

Ae Hamare Rab! Hamein hamari biwion aur aulaad mein se hamari aankhon ko raahat ataa farma aur hamein nek logon ke liye misaal bana

Dua 35:

رَبِّ إِنِّي لِمَآ أَنزَلۡتَ إِلَيَّ مِنۡ خَيۡرٖ فَقِيرٌ

Surah Al-Ma’ida(28:24)

Rabbi inni lima anzalta ilayya min khayrin faqirun

Ae Mere Rab! Tu Meri taraf jo neemath uthare main uska muhtaaj hoon

Dua 36:

رَبَّنَا وَسِعۡتَ كُلَّ شَيۡءٍ رَّحۡمَةً وَعِلۡمٗا فَٱغۡفِرۡ لِلَّذِينَ تَابُواْ وَٱتَّبَعُواْ سَبِيلَكَ وَقِهِمۡ عَذَابَ ٱلۡجَحِيمِ وَأَدۡخِلۡهُمۡ جَنَّـٰتِ عَدۡنٍ ٱلَّتِي وَعَدتَّهُمۡ وَمَن صَلَحَ مِنۡ ءَابَآئِهِمۡ وَأَزۡوَٰجِهِمۡ وَذُرِّيَّـٰتِهِمۡۚ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ وَمَن تَقِ ٱلسَّيِّـَٔاتِ يَوۡمَئِذٖ فَقَدۡ رَحِمۡتَهُۥۚ وَذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ

Surah Al-Ma’ida(40:7-9)

Rabbana wasi’ta kulla shayin rahmatan wa’il’man fa-igh’fir lilladhina tabu wa-ittaba’u sabilaka waqihim adhaba al-jahimi

wa-adkhil’hum jannati adnin allati wa’adttahum waman salaha min abaihim wa-azwajihim wadhurriyyatihim innaka anta al-‘azizu al-hakimu

waman taqi al-sayiati yawma-idhin faqad rahim’tahu wadhalika huwa al-fawzu al-‘azimu
Ae Hamare Rab! Tu ne har cheez ko rehmat aur ilm mein ghair rakha hai Tu un logon ko bakhash de jinhon ne tauba ki aur tere tareeqe par amal kiya aur inhein jahannum ke azaab se bacha

Aur inhen daimi rahaish ke baghoon mein daakhil kar jis ka Tu ne un se wada kiya hai aur jo bhi un ke baap dada, un ki biwion aur un ki aulaad mein se nek hain
Be shak Tu hi ghalib hikmat wala hai
Aur un ko [ un ke aamaal ke ] bure nataij se bacha aur jise Tu is din bure nataij se bachayega- Tu ne is par reham kiya hoga aur yahi badi kamyabi hai

Dua 37:

رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لَنَا وَلِإِخۡوَٰنِنَا ٱلَّذِينَ سَبَقُونَا بِٱلۡإِيمَٰنِ وَلَا تَجۡعَلۡ فِي قُلُوبِنَا غِلّٗا لِّلَّذِينَ ءَامَنُواْ رَبَّنَآ إِنَّكَ رَءُوفٞ رَّحِيمٌ

Surah Al-Ma’ida(59:10)

Rabbana igh’fir lana wali-ikh’wanina alladhina sabaquna bil-imani wala taj’al fi qulubina ghillan lilladhina amanu rabbana innaka raufun rahimun

Ae Hamare Rab! Hamein aur hamare bhaiyon ko maaf kar jo hum se pehle imaan laaye thay aur hamare dilon mein un logon ke liye narazgi nahi daalte jo imaan laaye hain

Dua 38:

رَّبَّنَا عَلَيۡكَ تَوَكَّلۡنَا وَإِلَيۡكَ أَنَبۡنَا وَإِلَيۡكَ ٱلۡمَصِيرُ

Surah Al-Ma’ida(60:4)

Rabbana alayka tawakkalna wa-ilayka anabna wa-ilayka al-masiru

Ae Hamare Rab! Hum ne tujh par bharosa kiya hai aur tujh hi ki taraf laut aaye hain aur teri taraf hi manzil hai

Dua 39:

رَبَّنَا لَا تَجۡعَلۡنَا فِتۡنَةٗ لِّلَّذِينَ كَفَرُواْ وَٱغۡفِرۡ لَنَا رَبَّنَآۖ إِنَّكَ أَنتَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ

Surah Al-Ma’ida(60:5)

Rabbana la taj’alna fit’natan lilladhina kafaru wa-igh’fir lana rabbana innaka anta al-‘azizu al-hakimu

Ae Hamare Rab! Hamein kafiron ke liye azaab nah bana aur hamein bakhash de; Ae Hamaray rab be shak Tu hi ghalib hikmat wala hai

Dua 40:

رَبَّنَآ أَتۡمِمۡ لَنَا نُورَنَا وَٱغۡفِرۡ لَنَآۖ إِنَّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٍ قَدِيرً

Surah Al-Ma’ida(66:8)

Rabbana atmim lana nurana wa-igh’fir lana innaka ala kulli shayin qadirun

Ae Hamare Rab! Hamare liye hamare noor ko kaamil aur hamein bakhash de, be shak to har cheez par Qadir hai

Namaz ka Tareeqa

Magdum Syed

NIYYATH

اِنِّىْ وَجَّهْتُ وَجْهِىَ لِلَّذِىْ فَطَرَالسَّمَوَتِ وَاْلاَرْضَ حَنِيْفًا وَّمَآ اَنا مِنَ الْمُشْرِكِيْنَ 

Inni wajjahtu wajhiya lilathee fatharas samawati walardha hanifan wamaa ana minal mushrikeen

Tahqeeq main ne mutawajju kiya apne munh ko waasthey uske jisne paida kiya aasmano aur zameen ko ek usi ka ho kar aur main mushrikon main se nahi

“Namaz ki niyyath ke baad namazi dono haathon ko kaano tak is tarah utthaye ke dono haathon ki hatheliyan qible ki taraf hon aur Takbeer-e- thahreema kah kar haathon ko naaf ke neeche bandh le. Daahina haath upar aur baayen haath uske neeche rahe.”


Takbeer

الله أَكْبَر

Allahu Akbar

Allah Bahut Bada Hai

SANAA

سُبْـحانَكَ اللّهُـمَّ وَبِحَمْـدِكَ وَتَبارَكَ اسْمُـكَ وَتَعـالى جَـدُّكَ وَلا إِلهَ غَيْرُك

Subahanaka Allahumma wa bihamdika wa tabaarak asmuka wa ta‘ala jadduka walaa ilaha ghairuka

Paak Hai Tu Aye Allah Mai Teri Hamd (Tareef ) Karta Hoon, Tera Naam Barkat Wala Hai Aur Bahut Buland Hai, Tere Shaan Aur Tere Siwa Koi Mabood (Ibadat ke Layaq) Nahi

 

أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّيْطٰانِ الرَّجِيْمِ

A’OOZU BILLAHI MIN ASSHAITANIR RAJEEM

Panah chahtha hoon Allah ki Shaitaan mardood se

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

BISMILLAH IR RAHMAN IR RAHIM

Shuru Allah ke Naam ke Saath Jo Bada Meharban Nihayat RahemWala Hi

SURAH FAATIHA

اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَۙ(۱)

Alhamdulillahi Rabbil ‘aalameen

Tamam Tareefein Allah ke Liye hai Jo Tamam Jahanon ka Rabb Hai,

الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِۙ(۲)

Ar-Rahmaanir-Raheem

Bahut Meharbaan Nihayat Rahem karna wala hai

مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِؕ(۳)

Maliki Yawmi-Deen

Roz-e-Jaza ka Maalik hai

اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ(۴)

Iyyaka na’budu wa iyyaka nastaeen

Hum Sirf Teri Ibadat Kartein Hai aur Sirf Tujhi Se Madad Chahte Hain

اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ(۵)

Ihdinas Siraatal Mustaqeem

Humein Seedhey Rastey Ki Hidayat De

صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ

غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ۠(۷)

Siraatal lazeena an’amta ‘alaihim

Ghayril maghdoobi ‘alaihim wa lad daaalleen

Unlogon ka Rasta Jinpar Tu Inaam Kiya

Na Unka raste par Jinpar Tera Ghazab nazil hua aur na unka jo gumraah hue

“Surah Fatiha ke baad Aahistha se Aameen kahen, phir Surah Ikhlas ya aur koi surah yaad ho wo padhen”


SURAH IKHLAAS

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

قُلۡ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ (1)

Qul huwa Allahu ahad

(Ae Nabi) Kehden ke Wo Allah ek hai

ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ  (۲)

Allahu assamad

Allah Beniyaz hai

لَمۡ يَلِدۡ وَلَمۡ يُولَدۡ (۳

Lam yalid wa lam yoolad

Ussey koi paida nahi hua aur naa wo kisise paida hua

وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدُۢ  (۴)

Wa lam yakul-lahu kufuwan ahad

Koi uska hamsar nahi

Surah ke khatham par Allahu Akbar keh kar rukoo ke liye jhuk jayen

Rukoo main dono haathon se ghutno ko pakad len

Rukoo main kamar sar ke saath baraabar ho

Haath phasliyon se judaa rahen

Pindliyan seedhi rahen aur rukoo ki tasbeeh padhen


Rukoo ki Tasbeeh

سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ

subhana rabbi yal azim

Paak Hai Mera Parwadigaar Badi Azmath Wala

“3 martaba padhen phir Tasmee’ kehthe hue seedhe khade ho jayen”

Tasmee’

سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ

Sami Allahu Liman Hamidah

Sunli Allah ne Jis ne Uski Tareef ki

رَبَّنَا َلَكَ الْحَمْدُ 

Rabbana Lakal Hamd

Aye Hamare Rabb Sab Tareef Tere Liye hi Hai

“Uske baad Allahu Akbar kehte hue sajde main is tarah jayen ke

pehle dono ghutne zameen par rakhen phir dono haath rakhen

Phir dono haathon ke beech main pehle naak phir peshaani zameen par rakhen

aur sajde ki tasbeeh padhen”


Sajde ki Tasbeeh

سُبْحَانَ رَبِّيَ الأَعْلَى

Subhaana Rabbi-yal ‘Alaa

Paak Hai Mera Parwadigaar Bahut Buland

“Sajde ka saheeh tareeqa ye hai ke dono paaon khade hon aur

Unki ungliyaan qible ki taraf hon

Chehra dono hathliyon ke ain beech main ho aur dono haathon ke angootthe kaanon ke baraabar hon

Ungliyan mili hui hon aur seedhi qible ke rukh hon,

Kohniyan phasliyon se aur raane pet se alag rahen,

Nez kohniyan khadi rahen zameen se na lagen”

 

“Uske baad Allahu Akbar kehthe hue utthen aur seedhe baitth jaayen

Phir Allahu Akbar kah kar doosre sajde isi tarah karen

Phir Allahu Akbar keh kar khade ho jayen

Utththey waqt zameen par haath naa teken.

Ye Ek rakaath poori ho gayi

Sajde ke baad uthne par doosri rakaath shuri hogi”

 

“Phir Bismillah padh kar Alhamd Shareef padhen phir koi aur surah padhen aur pehli rakaath ki tarah doosri rakaath poori kar len”

 

“Ye baath yaad rahe ke agar aap Imam ke peeche namaz padh rahe hon toh Sana’a ke baad khamosh ho jayen aur Imam ki Qiraath sunen. Alhamd Shareef aur Surah padhne ki zaroorath nahin.

Doosri rakaath poori karke phir Tashshahhud ke liye baitth jayen”

 

Dono Sajdon aur Tashshahhud padhne ki haalath main is tarah baittha jay eke daayan paaon khada rahe aur uski ungliyan qible ki taraf rahen aur baayan paaon bichaakar is par baitth jayen.

Baitthne ki haalath main dono haath dono ghutnon par rakhen aur phir Tashshahhud yani Atthahiyaath padhen


Tashshahhud

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ،

السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ،

السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ،

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Atthiyyatu Lillahi WasSalawatu Wat Tayyebatu,

Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyu Wa Rehmatullahi Wa Barakatuhu,

Assalamu Alaina Wa Ala Ibadillahis Sualaiheen

Ashadu An La ilaah illal Lahu Wa Ashadu Anna Muhammadan Abduhoo Wa Rasooluhoo

Hamari salaamiyan hamari namazein aur pakeeza batein Allah ke liye hain,

Salam ho Aap par Aye Nabi SAW aur Allah hi Rahmatein aur Barkatein ho,

Salamati ho Hum par aur Allah ke nek bandon par

Main gawahi detha hoon ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur Main gawahi detha hoon ke Mohammed SAW Allah ke bande aur Rasool hain

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَعَلَىٰ آلِ مُحَمَّدٍ ❁ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَىٰ إِبْرَاهِيْمَ وَعَلَىٰ آلِ إِبْرَاهِيْمَ 

 إنَّكَ حَمِيْدٌ مَجِيْدٌ 

Allah Humma Salli Ala Muhammadiyon Wa Ala Ale Muhammadin Kama Sallaita Aala Ibharima Wa Ala Aale Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed.

Aye Allah! Rehmath naazil farma Mohammed SAW par Aur Mohammed SAW ki Aal par Jaisa ke Tu ne Rehmath naazil farmayi Ibraaheem AS aur Ibraaheem AS ki Aal par. Beshak Tu Tareef ke laiq aur buzurgi wala hai

اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَعَلَىٰ آلِ مُحَمَّدٍ ❁ كَمَا بَارَكْتَ عَلَىٰ إِبْرَاهِيْمَ وَعَلَىٰ آلِ إِبْرَاهِيْمَ ❁ إنَّكَ حَمِيْدٌ مَجِيْدٌ❁

Allah Humma baarik Ala Muhammadiyon Wa Ala Ale Muhammadin Kama baraktha Alaa Ibrahima Wa Ala Aale Ibrahima Inna Ka Hameedum Majeed.

Aye Allah! Barkat naazil farma Mohammed SAW par Aur Mohammed SAW ki Aal par Jaisa ke Tu ne Barkat naazil farmayi Ibraaheem AS aur Ibraaheem AS ki Aal par. Beshak Tu Tareef ke laiq aur buzurgi wala hai

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ

فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

Allah humma Innee Zalamtu Nafsee Zulman Kaseeraun wa Laa Yaghfiruz-Zunooba Illaa Antha Faghfirlee Maghfiratam Min ‘Indika Warhamnee Innaka Antal Ghafoorur Raheem.

Ae Allah! Maine apne nafs par bohath zulm kiya aur koi nahi tere siwa gunahon ko bakshne wala- Bas Tu apni khaas bakshish se mujhe bakhsh de. Mujh par raham kar, Beshak Tu hi Bakhshne wala meherbaan hai

رَبِّ ٱجۡعَلۡنِي مُقِيمَ  ٱلصَّلَوٰةِ ذُرِّيَّتِيۚ  رَبَّنَا وَتَقَبَّلۡ دُعَآءِ

Rabbijalni muqeemussalaathi Wa min zurriyathi, Rabbana taqabbal dua’

Ae Hamare Rab! Mujhe namaz qaim karne wala bana de aur ( meri aulaad se ) Ae Hamare Rab! aur meri dua qubool farma

رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيَّٰ  وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ يَوۡمَ  يَقُومُ ٱلۡحِسَابُ

Rabbana-ghfirli wa li waalidayaa wa lilmumineena yauma yaqoomul hisaab

Ae Hamare Rab! Jis din hisaab qayam hoga mujhe aur mere walidain ko aur momneen ko maaf farma

رَبَّنَآ اٰتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَّفِي الْاٰخِرَةِ حَسَـنَةً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ 

Rabbana Aatina Fid Dunya Hasanah Wa Fil Akhirate Hasanah Wa Qina Azaban Naar

Ae Rab! Hame duniya main bhi nemath atha farma aur aakhirath main bhi nemath atha farma aur hame dozaq ke azaab se bacha

 

Taslim – Salaam

Is ke baad pehle daayen taraf aur phir baayen taraf salaam pher den, Salaam ke kalimaath ye hain

اَلسَّلاَمُ عَلَيكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ

Assaalaamu ‘Alaykum wa-Rahmatul Laah

Salaam ho tum par aur Allah ki Rahmat ho

 

 

Admin

Blog

Welcome to WordPress. This is your first post. Edit or delete it, then start writing!