Namaz ka Tareeqa

Namaz ka Tareeqa

Magdum Syed

NIYYATH

اِنِّىْ وَجَّهْتُ وَجْهِىَ لِلَّذِىْ فَطَرَالسَّمَوَتِ وَاْلاَرْضَ حَنِيْفًا وَّمَآ اَنا مِنَ الْمُشْرِكِيْنَ 

Inni wajjahtu wajhiya lilathee fatharas samawati walardha hanifan wamaa ana minal mushrikeen

Tahqeeq main ne mutawajju kiya apne munh ko waasthey uske jisne paida kiya aasmano aur zameen ko ek usi ka ho kar aur main mushrikon main se nahi

“Namaz ki niyyath ke baad namazi dono haathon ko kaano tak is tarah utthaye ke dono haathon ki hatheliyan qible ki taraf hon aur Takbeer-e- thahreema kah kar haathon ko naaf ke neeche bandh le. Daahina haath upar aur baayen haath uske neeche rahe.”


Takbeer

الله أَكْبَر

Allahu Akbar

Allah Bahut Bada Hai

SANAA

سُبْـحانَكَ اللّهُـمَّ وَبِحَمْـدِكَ وَتَبارَكَ اسْمُـكَ وَتَعـالى جَـدُّكَ وَلا إِلهَ غَيْرُك

Subahanaka Allahumma wa bihamdika wa tabaarak asmuka wa ta‘ala jadduka walaa ilaha ghairuka

Paak Hai Tu Aye Allah Mai Teri Hamd (Tareef ) Karta Hoon, Tera Naam Barkat Wala Hai Aur Bahut Buland Hai, Tere Shaan Aur Tere Siwa Koi Mabood (Ibadat ke Layaq) Nahi

 

أَعُوْذُ بِاللّٰهِ مِنَ الشَّيْطٰانِ الرَّجِيْمِ

A’OOZU BILLAHI MIN ASSHAITANIR RAJEEM

Panah chahtha hoon Allah ki Shaitaan mardood se

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

BISMILLAH IR RAHMAN IR RAHIM

Shuru Allah ke Naam ke Saath Jo Bada Meharban Nihayat RahemWala Hi

SURAH FAATIHA

اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَۙ(۱)

Alhamdulillahi Rabbil ‘aalameen

Tamam Tareefein Allah ke Liye hai Jo Tamam Jahanon ka Rabb Hai,

الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِۙ(۲)

Ar-Rahmaanir-Raheem

Bahut Meharbaan Nihayat Rahem karna wala hai

مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِؕ(۳)

Maliki Yawmi-Deen

Roz-e-Jaza ka Maalik hai

اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ(۴)

Iyyaka na’budu wa iyyaka nastaeen

Hum Sirf Teri Ibadat Kartein Hai aur Sirf Tujhi Se Madad Chahte Hain

اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ(۵)

Ihdinas Siraatal Mustaqeem

Humein Seedhey Rastey Ki Hidayat De

صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ

غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ۠(۷)

Siraatal lazeena an’amta ‘alaihim

Ghayril maghdoobi ‘alaihim wa lad daaalleen

Unlogon ka Rasta Jinpar Tu Inaam Kiya

Na Unka raste par Jinpar Tera Ghazab nazil hua aur na unka jo gumraah hue

“Surah Fatiha ke baad Aahistha se Aameen kahen, phir Surah Ikhlas ya aur koi surah yaad ho wo padhen”


SURAH IKHLAAS

بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ

قُلۡ هُوَ ٱللَّهُ أَحَدٌ (1)

Qul huwa Allahu ahad

(Ae Nabi) Kehden ke Wo Allah ek hai

ٱللَّهُ ٱلصَّمَدُ  (۲)

Allahu assamad

Allah Beniyaz hai

لَمۡ يَلِدۡ وَلَمۡ يُولَدۡ (۳

Lam yalid wa lam yoolad

Ussey koi paida nahi hua aur naa wo kisise paida hua

وَلَمۡ يَكُن لَّهُۥ كُفُوًا أَحَدُۢ  (۴)

Wa lam yakul-lahu kufuwan ahad

Koi uska hamsar nahi

Surah ke khatham par Allahu Akbar keh kar rukoo ke liye jhuk jayen

Rukoo main dono haathon se ghutno ko pakad len

Rukoo main kamar sar ke saath baraabar ho

Haath phasliyon se judaa rahen

Pindliyan seedhi rahen aur rukoo ki tasbeeh padhen


Rukoo ki Tasbeeh

سُبْحَانَ رَبِّيَ الْعَظِيمِ

subhana rabbi yal azim

Paak Hai Mera Parwadigaar Badi Azmath Wala

“3 martaba padhen phir Tasmee’ kehthe hue seedhe khade ho jayen”

Tasmee’

سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ

Sami Allahu Liman Hamidah

Sunli Allah ne Jis ne Uski Tareef ki

رَبَّنَا َلَكَ الْحَمْدُ 

Rabbana Lakal Hamd

Aye Hamare Rabb Sab Tareef Tere Liye hi Hai

“Uske baad Allahu Akbar kehte hue sajde main is tarah jayen ke

pehle dono ghutne zameen par rakhen phir dono haath rakhen

Phir dono haathon ke beech main pehle naak phir peshaani zameen par rakhen

aur sajde ki tasbeeh padhen”


Sajde ki Tasbeeh

سُبْحَانَ رَبِّيَ الأَعْلَى

Subhaana Rabbi-yal ‘Alaa

Paak Hai Mera Parwadigaar Bahut Buland

“Sajde ka saheeh tareeqa ye hai ke dono paaon khade hon aur

Unki ungliyaan qible ki taraf hon

Chehra dono hathliyon ke ain beech main ho aur dono haathon ke angootthe kaanon ke baraabar hon

Ungliyan mili hui hon aur seedhi qible ke rukh hon,

Kohniyan phasliyon se aur raane pet se alag rahen,

Nez kohniyan khadi rahen zameen se na lagen”

 

“Uske baad Allahu Akbar kehthe hue utthen aur seedhe baitth jaayen

Phir Allahu Akbar kah kar doosre sajde isi tarah karen

Phir Allahu Akbar keh kar khade ho jayen

Utththey waqt zameen par haath naa teken.

Ye Ek rakaath poori ho gayi

Sajde ke baad uthne par doosri rakaath shuri hogi”

 

“Phir Bismillah padh kar Alhamd Shareef padhen phir koi aur surah padhen aur pehli rakaath ki tarah doosri rakaath poori kar len”

 

“Ye baath yaad rahe ke agar aap Imam ke peeche namaz padh rahe hon toh Sana’a ke baad khamosh ho jayen aur Imam ki Qiraath sunen. Alhamd Shareef aur Surah padhne ki zaroorath nahin.

Doosri rakaath poori karke phir Tashshahhud ke liye baitth jayen”

 

Dono Sajdon aur Tashshahhud padhne ki haalath main is tarah baittha jay eke daayan paaon khada rahe aur uski ungliyan qible ki taraf rahen aur baayan paaon bichaakar is par baitth jayen.

Baitthne ki haalath main dono haath dono ghutnon par rakhen aur phir Tashshahhud yani Atthahiyaath padhen


Tashshahhud

التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ،

السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ،

السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ،

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ

Atthiyyatu Lillahi WasSalawatu Wat Tayyebatu,

Assalamu Alaika Ayyuhan Nabiyu Wa Rehmatullahi Wa Barakatuhu,

Assalamu Alaina Wa Ala Ibadillahis Sualaiheen

Ashadu An La ilaah illal Lahu Wa Ashadu Anna Muhammadan Abduhoo Wa Rasooluhoo

Hamari salaamiyan hamari namazein aur pakeeza batein Allah ke liye hain,

Salam ho Aap par Aye Nabi SAW aur Allah hi Rahmatein aur Barkatein ho,

Salamati ho Hum par aur Allah ke nek bandon par

Main gawahi detha hoon ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur Main gawahi detha hoon ke Mohammed SAW Allah ke bande aur Rasool hain

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَعَلَىٰ آلِ مُحَمَّدٍ ❁ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَىٰ إِبْرَاهِيْمَ وَعَلَىٰ آلِ إِبْرَاهِيْمَ 

 إنَّكَ حَمِيْدٌ مَجِيْدٌ 

Allah Humma Salli Ala Muhammadiyon Wa Ala Ale Muhammadin Kama Sallaita Aala Ibharima Wa Ala Aale Ibarhima Inna Ka Hameedum Majeed.

Aye Allah! Rehmath naazil farma Mohammed SAW par Aur Mohammed SAW ki Aal par Jaisa ke Tu ne Rehmath naazil farmayi Ibraaheem AS aur Ibraaheem AS ki Aal par. Beshak Tu Tareef ke laiq aur buzurgi wala hai

اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَىٰ مُحَمَّدٍ وَعَلَىٰ آلِ مُحَمَّدٍ ❁ كَمَا بَارَكْتَ عَلَىٰ إِبْرَاهِيْمَ وَعَلَىٰ آلِ إِبْرَاهِيْمَ ❁ إنَّكَ حَمِيْدٌ مَجِيْدٌ❁

Allah Humma baarik Ala Muhammadiyon Wa Ala Ale Muhammadin Kama baraktha Alaa Ibrahima Wa Ala Aale Ibrahima Inna Ka Hameedum Majeed.

Aye Allah! Barkat naazil farma Mohammed SAW par Aur Mohammed SAW ki Aal par Jaisa ke Tu ne Barkat naazil farmayi Ibraaheem AS aur Ibraaheem AS ki Aal par. Beshak Tu Tareef ke laiq aur buzurgi wala hai

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ

فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

Allah humma Innee Zalamtu Nafsee Zulman Kaseeraun wa Laa Yaghfiruz-Zunooba Illaa Antha Faghfirlee Maghfiratam Min ‘Indika Warhamnee Innaka Antal Ghafoorur Raheem.

Ae Allah! Maine apne nafs par bohath zulm kiya aur koi nahi tere siwa gunahon ko bakshne wala- Bas Tu apni khaas bakshish se mujhe bakhsh de. Mujh par raham kar, Beshak Tu hi Bakhshne wala meherbaan hai

رَبِّ ٱجۡعَلۡنِي مُقِيمَ  ٱلصَّلَوٰةِ ذُرِّيَّتِيۚ  رَبَّنَا وَتَقَبَّلۡ دُعَآءِ

Rabbijalni muqeemussalaathi Wa min zurriyathi, Rabbana taqabbal dua’

Ae Hamare Rab! Mujhe namaz qaim karne wala bana de aur ( meri aulaad se ) Ae Hamare Rab! aur meri dua qubool farma

رَبَّنَا ٱغۡفِرۡ لِي وَلِوَٰلِدَيَّٰ  وَلِلۡمُؤۡمِنِينَ يَوۡمَ  يَقُومُ ٱلۡحِسَابُ

Rabbana-ghfirli wa li waalidayaa wa lilmumineena yauma yaqoomul hisaab

Ae Hamare Rab! Jis din hisaab qayam hoga mujhe aur mere walidain ko aur momneen ko maaf farma

رَبَّنَآ اٰتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَّفِي الْاٰخِرَةِ حَسَـنَةً وَّقِنَا عَذَابَ النَّارِ 

Rabbana Aatina Fid Dunya Hasanah Wa Fil Akhirate Hasanah Wa Qina Azaban Naar

Ae Rab! Hame duniya main bhi nemath atha farma aur aakhirath main bhi nemath atha farma aur hame dozaq ke azaab se bacha

 

Taslim – Salaam

Is ke baad pehle daayen taraf aur phir baayen taraf salaam pher den, Salaam ke kalimaath ye hain

اَلسَّلاَمُ عَلَيكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ

Assaalaamu ‘Alaykum wa-Rahmatul Laah

Salaam ho tum par aur Allah ki Rahmat ho